Ilahi dikha de Jamal-e-Madinah Karam se ho pura sawal-e-Madinah
Ata kijiye haziri ki sa'adat Inayat ho mujh ko wisal-e-Madinah
Dikha de mujhe sabz gumbad ke jalwe Dikha mujh ko dasht-o-jibal-e-Madinah
Pahunch kar Madine mein ho jaaye Maula Meri jaan fida-e-Jamal-e-Madinah
Mujhe "Chal Madinah" ka muzdah suna do Karam ya Shah-e-khush khisal-e-Madinah
Haun pyare Nabi! khatm lamhat-e-furqat Muyassar ho mujh ko wisal-e-Madinah
Gham-e-ishq-e-Sarwar Khudaya ata kar Mujhe az tufail-e-Bilal-e-Madinah
Khudaye Muhammad hamare dilon se Na nikle kabhi bhi khayal-e-Madinah
Sada rehmaton ki barasti jhari hai Madine mein yeh hai kamal-e-Madinah
Mu'attar mu'attar hai sab se munawwar Nahin do jahan mein misal-e-Madinah
Sabhi pa rahe hain isi dar se main bhi Hun ummidwar-e-nawal-e-Madinah
Qadam chum kar sar pe rakh lena Attar Nazar aaye gar naunehal-e-Madinah





