Ek baar phir Madine Attar ja rahe hain Aaqa Madine wale dar par bula rahe hain
Qismat ko us tasawwur se wajd aa rahe hain Rahmat ki bheek dene Aaqa bula rahe hain
Woh faiz ka khazana har dam luta rahe hain Anwar har taraf hi Taibah mein chha rahe hain
Jo koi unke gham mein aansu baha rahe hain Jine ka lutf aise ush-shaq pa rahe hain
Jis dam Madine aayein royein pachharein khayein Hum maang tum se Aaqa aisi ada rahe hain
Husn-e-amal hamare palle mein kuch nahi hai Aahon ki aansuon ki soghat la rahe hain
Manzar hai rooh parwar rauzay ki jaliyon par Ush-shaq aansuon ke moti luta rahe hain
Aaqa ye hain ye aankhein bas aap hi ke gham mein Haaye hamein zamane ke gham rula rahe hain
Izn-e-Khuda se ho tum mukhtar-e-har do-aalam Dono jahan tumhari khairaat kha rahe hain
Dastoor hai ke jis ka khana usi ka gana Hum jis ka kha rahe hain geet us ke ga rahe hain
Maskan bane Madinah madfan bane Madinah Ahmed Raza ka tum ko de wasita rahe hain
Aaqa! bulao un ko be-chain muztarib jo Dil ko jala rahe hain aansu baha rahe hain
Jin ka na bhau koi duniya mein poochta ho Seenay se un ko Aaqa apne laga rahe hain
Ummat ke haal se hain aagah har ghari aap Khwabon mein aa rahe hain bigri bana rahe hain
Duniya ke gham ne mara Lillah do sahara Sarkar thokarrein hum dar dar ki kha rahe hain
Ab ghir chuki hai Aaqa toofan mein apni naiya Aye nakhuda sahara maang aap ka rahe hain
Aaqa huzur-e-anwar! nazar-e-karam ho hum par Abr-e-siyah dil par isiyan ke chha rahe hain
Chashm-e-karam ho jana su-e-gunah-garan Sarkar! nafs-o-shaitan har dam daba rahe hain
Un sab muballighon ke khwabon mein ab karam ho Aaqa jo sunnaton ki khidmat baja rahe hain
Parwardigar-e-aali de jazba-e-Ghazali Kar hum ko khush khisali kar yeh dua rahe hain
Bemari-e-gunah se hum ko shifa de ya Rabb Ban jayein nek hum sab kar iltija rahe hain
Daulat ki hirs dil se Allah door kar de Ishq-e-Rasool de de kar yeh dua rahe hain
Takseer-e-maal-o-zar ki hargiz nahi tamanna Hum maang aap se bas gham aap ka rahe hain
Rukhsat ki ab ghari hai sar par ajal khari hai Aajao ab Khudara hum jaan se ja rahe hain
Ab lahad mein azizo! jaldi utaar bhi do Aaha! woh muskuraate tashreef la rahe hain
Faryad jaan-e-aalam! koi nahi hai hamdam Su-e-saqar farishtay ab le ke ja rahe hain
Qurban roz-e-mahshar daaman ka parda dhak kar Aibon ko mere sarwar khud hi chhupa rahe hain
Mahshar mein banda parwar lutf-o-karam ke paikar Bhar bhar ke jaam-e-Kausar hum ko pila rahe hain
Sadqe mein Murtaza ke soz-e-Bilal de do Yeh arz le kar Aaqa Attar aa rahe hain
Un ke karam ke sadqe! fazl-o-karam pe qurban Attar ko woh lekar jannat mein ja rahe hain





