Ik baar phir karam Shah-e-Khairul-Anam ho Phir janib-e-Madinah rawanah ghulam ho
Phir jhoomta hua main chaloon janib-e-Hijaz Makkay mein subah ho toh Madinay mein sham ho
Pesh-e-nazar ho Gumbad-e-Khazra ki phir bahar Ae kash! phir Madinay mein mera qayam ho
Ho aana jana mera Madinay mein umr bhar Aakhir mein zindagi ka wahin ikhtitam ho
Yun mujh ko maut aaye tumharay dayar mein Chaukhat pe sar ho lab pe durood-o-salam ho
Ya Rab bacha le tu mujhe naar-e-jaheem se Aulad par bhi balkay jahannam haram ho
Dewanay ro rahay hain Madinay ke wastay Unki bhi hazri ka koi intezam ho
Dil ki murad pa gaya jo dar pe aa gaya Koi sabab nahin ke na mangtay ka kaam ho
Dushman ka zor barh chala hai Ya Ali madad Ab Zulfiqar-e-Haidari phir be-niyam ho
Be-kaar guftagu se meri jaan chhoot jaye Har waqt kash! lab pe durood-o-salam ho
Ho jayen khatm kash! gunahon ki aadatein Aisa karam ae Sayyid-e-Khairul-Anam ho
Ahmed Raza ka sadqah musalman naik hon Naiki ki dawat Aaqa jahan bhar mein aam ho
Aaqa! gham-e-Madinah mein rona naseeb ho Zikr-e-Madinah lab pe meray subah-o-sham ho
Ho rooh teray qadmon pe Attar ki nisar Jis waqt is ki umr ka labrez jaam ho





