Huzoorؐ par huin Allah ki rehmatein sadqay Pukara naam se Ahmadؐ ke aur Muhammadؐ ke
Rauf-o-Taha-o-Yasin kaha Rahim kaha Khuda ne khalq ki roo se usay Azeem kaha
Kaha wahi hai muallim kitab-o-hikmat ka Laqab usi ka diya Kibriya ne rehmat ka
Har ek saans mein us ke shariat-e-Rabb hai Ita'at-e-Shah-e-Bat'ha ita'at-e-Rabb hai
Khuda ke rehm ka paikar Khuda ke noor ki zaat Khud ek bolta Quran hai Huzoorؐ ki zaat





