Hamein nisbat hai Aaqa ﷺ se yeh nisbat hum ko kaafi hai Mohabbat hi mohabbat hai maafi hi maafi hai
Hamari zindagani bat gayi hai do qabeelon mein Nazar aawara-e-asbaab hai dil aitkaafi hai
Hum un se pyaar bhi karte hain duniya par bhi marte hain Zabaan iqraar-naama hai amal waada-khilaafi hai
Mo'aalij koi apna un se barh kar ho nahin sakta Nazar unki maseeha hai tawajjah unki shaafi hai
Sajaayein zindagi apni duroodon se salaamon se Yehi zaahir ka saafa hai yehi baatin ki saafi hai
Ghazal mein bhi Muzaffar Warsi haq baat karte hain Magar phir bhi hamari naat ghazlon ki talaafi hai





