Hum khaak hain aur khaak hi mawa hai hamara Khaki to woh Aadam-e-jadd-e-aala hai hamara
Allah hamain khaak kare apni talab mein Yeh khaak to Sarkar se tamgha hai hamara
Jis khaak pe rakhte thay qadam Sayyid-e-Aalam Us khaak pe qurbaan dil-e-shaida hai hamara
Kham ho gayi pusht-e-falak is ta'n-e-zameen se Sun hum pe Madinah hai woh rutba hai hamara
Is ne laqab-e-khaak Shahanshah se paya Jo Haidar-e-Karrar ke maula hai hamara
Aye mudda'io! khaak ko tum khaak na samjhe Is khaak mein madfoon Shah-e-Batha hai hamara
Hai khaak se tameer mazar-e-Shah-e-Konain Ma'moor isi khaak se Qibla hai hamara
Hum khaak urayain ge jo woh khaak na payi Aabad Razaؔ jis pe Madinah hai hamara





