Hubb-e-dunya na dekh meri taraf ‘ ik nigahbaan mere andar hai Zindagi tu na mujh pe hukm chala , mera sultan mere andar hai
Pas-e-deewar tak shuhood mera , raqba-e-deed be-hudood mera Daana-e-ishq hai wajood mera , khet khaliyaan mere andar hai
Ik nazar do-jahaan ke mونس ki ‘ roshni hai meri majalis ki Ki Muhammad ﷺ ne tarbiyat jis ki ‘ wahi insaan mere andar hai
Dam-e-hijrat jo ghaar-e-Saur mein tha , har ufaq us ki fard-e-ghaur mein tha Ek Hassan us ke daur mein tha ek Hassan mere andar hai
Zindagi mujh ko aaina na dikha , dekhna hai to dekh dil mera Mere kirdar-e-zahiri pe na ja , meri pehchan mere andar hai
Kis qadar meharbaan hai mujh par woh , mujh ko pyaara hai sab se barh kar woh Rehmaton ka hai ik samandar woh aur toofaan mere andar hai
Jahl-e-insaniyat se aari hoon wali-e-ilm ka bhikari hoon Chehra-e-Mustafa ﷺ ka qari hoon saara Quran mere andar hai
Mere fan ki Muzaffar aawaazein sirf goonja karengi dunya mein Woh Khuda ko sunaye ga naatein jo khush-alhaan mere andar hai





