Hon gi maqbool huzoori ki duaein kab tak Dekhiye mujh ko Madine woh bulayein kab tak
Dekhna yeh hai ke woh samne aayein kab tak Jalwa-e-hosh ruba hum ko dikhayein kab tak
Jazb-e-dil ab to mujhe sue Madinah le chal Main bhugtata rahoon furqat ki sazayein kab tak
Girya-e-ishq-e-Muhammad ﷺ bhi sukoon-samaan hai Un ki marzi hai ke mujh ko rulayein kab tak
Ya Nabi ﷺ! ghir ke jo aayi hain chaman par mere Khul ke barsein gi woh rehmat ki ghataein kab tak
Jane kab pohanche Madine mein hamari aawaz Daad, faryaad ki, Sarkar ﷺ se payein kab tak
Apna bas to nahin taqdeer pe lekin, Aqa ﷺ! Ta-ba-ke ranj sahein, thokarain khayein kab tak
Kaun sunta hai ba-juz Aap ﷺ ke faryaad apni Sarguzasht apni zamane ko sunayein kab tak
Kab Madine se talab ho kise maloom Naseerؔ Kya khabar Un ﷺ ke dar-e-naaz pe jayein kab tak.





