Hayat-e-uswa-e-Sarkar mein agar dhal jaaye Har ek saans ke andar charagh sa jal jaaye
Main reza reza hu toh usi ki yaad aayi Jahan pahunch ke na koi bhi namukammal jaaye
Tuloo-e-subh ka manzar ho mere andar bhi Saba jo rooh pe us ka ghubar paamal jaaye
Koi dukhi jo tah-e-dil se naam le us ka Pahar apni jagah chhod de bala tal jaaye
Gaya jo sheesha-e-aflaak se nazar ki tarah Sada bhi us ki abad ki taraf musalsal jaaye
Woh dasht mein ho toh ban jaayein ungliyan lehrein Jo dhoop mein woh chale us ke saath baadal jaaye
Rahe labon pe hazaron duaon ki yeh dua Ke hajj ko jaaye Muzaffar bhi aur paidal jaaye





