Harf-e-dua hoon saut-e-pazeerai de mujhe Dekhoon nazar ki oat woh beenai de mujhe Yad-e-Rasoolؐ, pyaar ki sacchai de mujhe Madh-e-Nabiؐ, qareena-e-goyai de mujhe Kaagaz ki naav daal raha hoon bahao par Tinka bhi paaon rakhne chala hai alaao par
Main aur wasf-e-Shah-e-Payambar raqam karoon Baadal qalam bane toh samundar raqam karoon Kya kya main lauh-e-arz-o-sama par raqam karoon Dunyaen aur hon toh woh paikar raqam karoon Ta-hashr agar hayaat meri mustarad na ho Us ki qasam hai us ke qaseeday ki had na ho
Rukh hai ke aaine mein musawwir saja hua Awaaz, jaise naghma-e-fitrat chida hua Aaghosh, jis tarah dar-e-Kaaba khula hua Maathay ki har lakeer pe Quran likha hua Kaanpe jalaal-e-Arsh mizaj-e-haleem se Jannat ko raah jaaye qad-e-mustaqeem se
Shafqat, jo apnon pe wohi aghyaar ke liye Jurrat, nida-e-zalzala kuhsaar ke liye Mehnat, sanad ghareeb-o-jafa kaar ke liye Azmat, misaal hi nahin izhaar ke liye Parwaaz hai bahut meri fikr-e-haqeer ki Pahunche na gard ko bhi Khuda ke safeer ki
Nazm-e-jahan, bayan-e-musalsal, gawah ka Waqt-e-rawan, ghubaar, Muhammadؐ ki raah ka Mahtaab, ek phool qaba-e-siyah ka Khursheed, ik uda hua reeza nigah ka Chalti hui hawayein pyaday Rasoolؐ ke Ahkaam-e-Haq mein dekhoon iraday Rasoolؐ ke
Jeena hai darmiyan-e-guman-o-yaqeen mujhe Na-paidariyon pe bharosa nahin mujhe Paiwand ki tarah na laga le zameen mujhe Zakhm-e-firaaq chaat na jaaye kahin mujhe Jee khol ke main rouunga gumbad ke saamne Le chal durood mujh ko Muhammadؐ ke saamne





