Har zarra-e-wujood se un ko pukaar ke Sahraon mein bhi geet sunay aabshaar ke
Mujh ko unhon ne apni panahon mein kya liya Qabzay se hi nikal gaya apnay madaar ke
Main lamha lamha kharch karoon un se pooch kar Maalik hain ab wahi meray lail-o-nahaar ke
Aao chalo Huzoor ke darbaar mein chalein Melay lagay hain rahmat-e-Parwardigaar ke
Yeh kis ke raaston ki jami dhool jism par Mausam thahar gaye meray andar bahaar ke
Aankhon pe haath kis ke tasawwur ne rakh diya Manzar dikhayi denay lagay aar paar ke
Har roshni ko main ne mureed apna kar liya Seenay mein ik shua-e-Muhammad ﷺ utaar ke
Ishq-e-Rasool ka yeh Muzaffar kamaal hai Donon jahan jeet liye khud ko haar ke





