Haq numa haq sifaat aap ki zaat Shahkar-e-hayat aap ki zaat
Khaliq-e-kainat zaat-e-Khuda Maqsad-e-kainat aap ki zaat
Sharh-e-tehzeeb ek ek amal Rooh-e-akhlaqiyat aap ki zaat
Sharq-o-gharb aap ke nishan-e-qadam Jihat-e-shash jihat aap ki zaat
Juzv-e-imaan mutala'a jis ka Deen ki woh kulliyat aap ki zaat
Hairat-angez aap ka mamool Mazhar-e-mo'jizaat aap ki zaat
Har sadi aap ke jalo mein chale Har zamane ke sath aap ki zaat
Jis ki taeed ta-abad hogi Woh suboot-e-sabaat aap ki zaat
Mera manshoor mera paimana Aap ki baat aap ki zaat
Kya Muzaffar ho aaqibat ki fikr Meri wajah-e-najaat aap ki zaat





