Haq maujood Muhammad ﷺ surat Banda-o-maula, awwal-o-aakhir Aap hi manzil, aap musafir Sheesha-e-kasrat, chehra-e-wahdat Haq maujood Muhammad ﷺ surat
Roshniyon sa, paikar-e-khaki Lakhon hi subhein, ot qaba ki Arsh-e-mualla us ka musalla Haath mein dori arz-o-sama ki Aalam-e-bala, dekhne wala Khail-e-malaik, sayyid-e-ummat Haq maujood Muhammad ﷺ surat
Ghar-e-Hira se phooti hui zau Husn-e-Ahad ki woh abadi lau Us ki panahain khuld ki rahain Mashriq-o-maghrib us ka hi parto Us ki gawahi, mohar-e-Ilahi Deen-e-mukammal, khatm-e-nubuwwat Haq maujood Muhammad ﷺ surat
Mauj-e-tabassum, noor ki dhari Larzish-e-damaan, baad-e-bahari Chaap qadam ki sham-e-haram ki Junbish-e-abroo, rehmat-e-Bari Milte hue lab, faisla-e-Rabb Saans bhi us ka, hukm-e-shariat Haq maujood Muhammad ﷺ surat
Sahib-e-aalam sadr-e-zamana Haath hain khaali, baante khazana Seenon ke andar, us ka samandar Roohon ke hujre, us ka thikana Us ka saheefa, mera wazifa Us ki mohabbat, meri ibadat Haq maujood Muhammad ﷺ surat





