Hajj ke asbaab Aaqa bana do Mujh ko meetha Madinah dikha do
Mujda-e-jaan faza ab suna do Soi taqdeer meri jaga do
Apne jalwe nazar mein basa do Mera seenah Madinah bana do
Hajj karoon phir Madine mein aaon Yeh sharaf ya Habib-e-Khuda do
Jhoom kar gird-e-Ka'bah phiroon main Yeh sa'adat Khuda se dila do
Apne mehrab-o-mimbar ka dar ka Sabz gumbad ka jalwah dikha do
Khoob Makkah ki galiyon mein ghoomoon Ab Mina ki baharein dikha do
Mujh ko Arafat ke bhi manazir Az paye Ghous-e-Azam dikha do
Hijr-e-Tayyabah mein jo khoob royein Aisi aankhein paye Murtaza do
Gham-e-Madine ka aur be-qarari Az paye Shah-e-Karbala do
Aakhiri din meri umr ke hain Mera maskan Madinah bana do
Kaash! qadmon mein aaye mujhe maut Mera madfan Madinah bana do
Dam nikalne ki jaan soz ghariyan Aa gayi, aake kalima parha do
Meri mayyat pe Shah-e-Madinah! Apni rehmat ki chadar urha do
Ho Baqi-e-Mubarak mein tadfeen Yeh sharaf az paye Fatimah do
Qabr mein ghup andhera hai chhaya Aake Mah-e-Arab! jagmaga do
Garmi-e-hashr se muztarib hoon Jaam-e-Kauthar Khudara pila do
Ho gunahgar par chashm-e-rehmat Apne Allah se bakhshwa do
Aah! Dozakh ka haq-dar hoon main Rabb ki rehmat se Jannat dila do
Do shifa har badi ke marz se Nekiyan karne wala bana do
Saare roohani jismani amraz Door hon, sehat-e-kamilah do
Mere gham rahaton se badal kar Dil ki murjhayi kaliyan khila do
Ho sada Rabb ki rehmat ka saaya Ya Nabi! tum mujhe yeh dua do
Bolta hoon bohat tum zaban ka Mujh ko qufl-e-Madinah shaha do
Nazrein jhukti nahi hain, nazar ka Mujh ko qufl-e-Madinah shaha do
Hajj kare har baras kaash! Attar Yeh sa'adat Rasool-e-Khuda do





