We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Haajiyo! Aao Shahanshah ka rauzah dekho Ka'bah to dekh chuke Ka'bah ka Ka'bah dekho


Rukn-e-Shami se miti wehshat-e-shaam-e-ghurbat Ab Madinah ko chalo subh-e-dil-aara dekho


Aab-e-Zamzam to piya khoob bujhaayin pyaasein Aao jood-e-Shah-e-Kausar ka bhi dariya dekho


Zer-e-Meezab mile khoob karam ke chheinte Abr-e-rehmat ka yahan zor barasna dekho


Dhoom dekhi hai dar-e-Ka'bah pe betabon ki Un ke mushtaqon mein hasrat ka tadapna dekho


Misl-e-parwanah phira karte the jis sham'a ke gird Apni us sham'a ko parwanah yahan ka dekho


Khoob aankhon se lagaya hai ghilaaf-e-Ka'bah Qasr-e-mehboob ke parde ka bhi jalwa dekho


Waan muti'on ka jigar khauf se paani paaya Yaan siyah-karon ka daaman pe machalna dekho


Awwaleen khanah-e-Haq ki to ziyaaein dekhein Aakhareen bait-e-Nabi ka bhi tajalla dekho


Zeenat-e-Ka'bah mein tha laakh arooson ka banao Jalwa-farma yahan kaunain ka dulha dekho


Aiman-e-Toor ka tha Rukn-e-Yamani mein farogh Shu'la-e-Toor yahan anjuman-aara dekho


Mehr-e-madar ka maza deti hai aaghosh-e-Hateem Jin pe maa-baap fida yaan karam un ka dekho


Arz-e-haajat mein raha Ka'bah kafeel-e-injaah Aao ab daad-rasi-e-Shah-e-Taibah dekho


Dho chuka zulmat-e-dil bosah-e-sang-e-aswad Khaak-bosi-e-Madinah ka bhi rutba dekho


Kar chuki rif'at-e-Ka'bah pe nazar parwaazein Topi ab thaam ke khaak-e-dar-e-wala dekho


Be-niyaazi se wahan kaanpti paayi taa'at Josh-e-rehmat pe yahan naaz-e-gunah ka dekho


Jumu'ah-e-Makkah tha eid ahl-e-ibadat ke liye Mujrimo! aao yahan eid-e-doshanbah dekho


Multazim se to gale lag ke nikaale armaan Adab-o-shauq ka yaan baaham ulajhna dekho


Khoob Mas'a mein ba-umeed-e-safa daud liye Reh-e-jaanaan ki safa ka bhi tamasha dekho


Raqs-e-bismil ki bahaarein to Mina mein dekhein Dil-e-khoonaba-fishaan ka bhi tadapna dekho



Never Be Without Your Favorite Lyrics - Get the App for Offline Access!

Get it on Google Play


Ghaur se sun to Raza Ka'bah se aati hai sada Meri aankhon se mere pyaare ka rauzah dekho

No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah