Hai Wadi-e-Batha ki faza aur tarah ki Chalti hai Madine mein hawa aur tarah ki
Har baat kahi jaati hai ashkon ki zaban mein Hoti hai muwajah mein dua aur tarah ki
Ae sailon! Yeh Rahmat-e-Konain ka dar hai Hoti hai yahan bheek ata aur tarah ki
Ae kash ho aisi mere afkar mein jiddat Har roz karoon madh-o-sana aur tarah ki
Taari hai dil-o-jaan pe ajab bast ka aalam Layi hai khabar baad-e-saba aur tarah ki
Jis shaan se chahein jise Sarkar nawazein Har Ka’ab ki khatir hai rida aur tarah ki
Deta hai sabaq Ash-hadu wa Ash-had ka tafawut Hoti hai muqarrab ki khata aur tarah ki
Nazuk hai mizaj iska bohat nazm-o-ghazal se Hai Naat-e-Nabi ﷺ sinf-e-zara aur tarah ki
Shahzad ko ho jaye ata rang-e-Owaisi Ushaq mein ho meri wafa aur tarah ki