Hai kalam-e-Ilahi mein Shams-ud-Duha tere chehra-e-noor fiza ki qasam Qasam-e-shab-e-tar mein raaz yeh tha ke Habib ki zulf-e-duta ki qasam
Tere khulq ko Haq ne azeem kaha tere khulq ko Haq ne jameel kiya Koi tujh sa hua hai na hoga shaha tere khaliq-e-husn-o-ada ki qasam
Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya na kisi ko mile na kisi ko mila Ke kalam-e-Majeed ne khai shaha tere shehr-o-kalam-o-baqa ki qasam
Tera masnad-e-naaz hai arsh-e-bareen tera mehram-e-raaz hai Rooh-e-Ameen Tu hi sarwar-e-har do jahan hai shaha tera misl nahi hai Khuda ki qasam
Yehi arz hai Khaliq-e-arz-o-sama woh Rasool hain tere main banda tera Mujhe un ke jawar mein de woh jagah ke khuld ko jis ki safa ki qasam
Tu hi bandon pe karta hai lutf-o-ata hai tujhi pe bharosa tujhi se dua Mujhe jalwa-e-pak-e-Rasool dikha tujhe apne hi izz-o-ala ki qasam
Mere garcha gunah hain had se siwa magar un se umeed hai tujh se raja Tu Raheem hai un ka karam hai gawah woh Kareem hain teri ata ki qasam
Yehi kehti hai bulbul-e-bagh-e-jinan ki Raza ki tarah koi sehar bayan Nahi Hind mein wasif-e-Shah-e-Huda mujhe shokhi-e-tab-e-Raza ki qasam





