Guzre jis raah se woh Sayyid-e-Wala ho kar Reh gayi saari zameen ambar-e-saara ho kar
Rukh-e-anwar ki tajalli jo qamar ne dekhi Reh gaya bosa-deh-e-naqsh-e-kaf-e-paa ho kar
Waaye mehroomi-e-qismat ke main phir ab ki baras Reh gaya hamrah-e-zawwar-e-Madinah ho kar
Chaman-e-Tayyabah hai woh baagh ke murgh-e-Sidrah Barson chehke hain jahan bulbul-e-shaida ho kar
Sarsar-e-dasht-e-Madinah ka magar aaya khayal Rashk-e-gulshan jo bana ghuncha-e-dil waa ho kar
Gosh-e-Shah kehte hain faryad rasi ko hum hain Waada-e-chashm hai bakhshayenge goya ho kar
Paa-e-Shah par gire Ya Rab tapish-e-mehr se jab Dil-e-betaab ude hashr mein paara ho kar
Hai yeh umeed Raza ko teri rehmat se Shaha Na ho zindani-e-dozakh tera banda ho kar





