Gulistan-e-Mustafa ﷺ ka phool ban Ban sake to aashiq-e-Rasool ﷺ ban
Jis ne qatilon pe apni chhaon ki Rang baantti hai dhool paaon ki Odhni hai gard-e-nak to dhool ban
Shab ko chadar apne sar pe daal le Teergi mein zindagi ujaal le Aap ﷺ ka wazifa o usool ban
Qurbat-e-Rasool ﷺ o Rab mein choor reh Na-qabool bandagi se door reh Sirf ek sajda-e-qabool ban
Chahta hai gar Habib ki raza Chaah ka hai yeh Zafar iqtiza Paaye khwahishat ka babool ban





