Gham ke maaron par karam ae do jahan ke tajdar Apne gham mein apni ulfat mein rulao zaar zaar
Sadqe jaaun mujh se aasi par Shah-e-kon-o-makan Be-adad teri atayen rehmaten hain be-shumar
Jo tadapte hain Madine ki ziyarat ke liye Un ko bhi Aaqa dikhado tum Madine ki bahar
Ho mira seena Madina tajdar-e-ambiya Dil mein bas jaaye tera jalwa Shah-e-aali waqar
Az-paye Ghous-o-Raza maskan Madina do bana Kash ho madfan Madina az tufail-e-chaar yaar
Ghoomte rehte ho tum Aaqa ki galiyon mein sada Tum pe ho jaaun tasadduq ae sagan-e-kooye yaar
Bulbulo tum ko mubarak phool, par meri nazar Main Madine ki haseen woh jhaariyan hain khardar
Aaj ke is sunnaton ke ijtima-e-paak mein Jo bhi aaya bakhsh de us ko mere Parwardigar
Kuch toh kar ehsas bhai chhod nafarmaniyan Gham mein Aaqa apni ummat ke hain hote be-qarar
Mere ghairat mand bhai mat munda darhi ko tu Yaad rakh yeh dushmanan-e-Mustafa ka hai shi'aar
Chhod angrezi tariqe aur fashion chhod de Bhai karle sunnaton se khoob rishta ustuwar
De sharaf Attar ko har saal hajj ka Ya Khuda Har baras is ko dikha meethe Madine ka diyaar





