Gham hogaye be-shumaar Aqa ﷺ Banda tere nisaar Aqa ﷺ Bigda jata hai khail mera Aqa Aqa sanwaar Aqa ﷺ Halka hai agar hamara palla Bhaari hai tera waqar Aqa ﷺ Majboor hain hum to fikr kya hai Tum ko to hai ikhtiyar Aqa ﷺ Mujh sa koi ghamzadah na hoga Tum sa nahin ghamgasar Aqa ﷺ Jis ki marzi Khuda na taale Mera hai woh namdaar Aqa ﷺ Itni rahmat Raza pe kar lo La yaqrubu-hu al-bawar Aqa ﷺ





