Gham-e-furqat rulaye kaash hardam Ya RasoolAllah Rahun har waqt mein ba-deeda-e-nam Ya RasoolAllah
Jigar bhi sokhta jaan sokhta, dil chaak seena chaak Mile gham aur gham bas aap ka gham Ya RasoolAllah
Nahi taaj-e-shahi ki aarzu bas ek armaan hai Nikal jaaye tumhare rubaru dam Ya RasoolAllah
Mere Aaqa bahaye ashk jo hijr-e-Madinah mein Ata kardo mujhe woh chashm-e-pur-nam Ya RasoolAllah
Hamare dil ki har dhadkan se Taibah ki sada nikle Rahe zikr-e-Madinah lab pe har dam Ya RasoolAllah
Shaha! Chashm-e-karam ho tishnagaan-e-deed par ab toh Tumhari deed ka sharbat piyen hum Ya RasoolAllah
Gunahon ka andhera chha gaya hai hum kameeno par Khudara ho karam noor-e-mujassam Ya RasoolAllah
Jahan jaaun jidhar jaaun Madine ki faza paaun Mile lutf-e-huzoori jaan-e-aalam Ya RasoolAllah
Tawaf-e-khanah-e-Kaaba ka tum mujh ko sharaf de do Piyun Makkah mein aakar aab-e-zamzam Ya RasoolAllah
Madine jab mein pahunchun toh kaleja mera phat jaaye Wahan ro ro ke apna tod dun dam Ya RasoolAllah
Baqi-e-paak mein mujh ko jagah Sarkar mil jaaye Tufail-e-peer-o-murshid Ghous-e-Azam Ya RasoolAllah
Hussain ibn-e-Ali ke waste kardo karam jin ka Ke hai yaum-e-shahadat das Muharram Ya RasoolAllah
Wahi ummat khataon mein padi hai raat mein jin ke Liye roya kiye maanind-e-shabnam Ya RasoolAllah
Shaha! Attar ka dil toot jaaye! Kaash dunya se Rahe gum aap ki ulfat mein har dam Ya RasoolAllah





