Gham-e-furqat dil-e-ushaq ko be-had rulata hai Tarap uthte hain jab un ko Madinah yaad aata hai
Mujhe us ke muqaddar par bara hi rashk aata hai Madine ki taraf koi musafir jab bhi jata hai
Mujhe us waqt deewane pe be-had pyar aata hai Gham-e-hijr-e-Madinah mein woh jab aansoo bahata hai
Yeh beemar-e-Madinah hai tabeebo! tum na samjhoge Tarapta hai ise jis dam Madinah yaad aata hai
Dikha do sabz gumbad ki baharein Ya RasoolAllah Na jaane kab Madine ka bulawa mujh ko aata hai
Madad Sarkar farmate hain deewanah agar koi Tarap kar Ya RasoolAllah ka na'ra lagata hai
Ata kardo ata kardo Baqi-e-pak mein madfan Mujhe gor-e-ghariban-e-watan se khauf aata hai
Nahin hai chand sooraj ki Madine ko koi haajat Wahan din raat un ka sabz gumbad jagmagata hai
Hukoomat ki talab dil mein, na khwahish taj-e-shahi ki Nazar mein ashiqon ke bas Madinah hi samata hai
Sakhawat bhi tere ghar ki inayat bhi tere ghar ki Tere dar ka sawali jholiyan bhar bhar ke lata hai
Ibadat ho to aisi ho, tilawat ho to aisi ho Sar-e-Shabbir to neze pe bhi Quran sunata hai
Barasti hai Khuda ki us pe rahmat jhoom kar Attar Gham-e-mehboob mein jo koi do aansoo bahata hai





