Gar hamen zauq-e-talab sa rahnuma milta nahin Rasta milta nahin aur mudda'a milta nahin
Jhuk ke mehr-o-maah goya de rahe hain yeh sada Doosra main koi tum sa doosra milta nahin
Ibtaghoo farma ke goya Rab ne yeh farma diya Be-waseela Najdio! har-giz Khuda milta nahin
Un se umeed-e-wafa ae dil mehez bekar hai Ahl-e-dunya se mohabbat ka sila milta nahin
Kis ne tujh se keh diya dil be-gharaz aate hain woh Be-gharaz nadan koi be-wafa milta nahin
Dekhte hi dekhte sab apne begane hue Ab to dhoonde se bhi koi aashna milta nahin
Lau lagata kyun nahin baab-e-Shah-e-Konain se Haath utha kar dekh to phir un se kya milta nahin
Tere maikhane mein jo kheenchi thi woh may kya hui Baat kya hai aaj peene ka maza milta nahin
Saqiya teri nigah-e-naz may ki jaan thi Pher li to ne nazar to woh nasha milta nahin
Peene wale dekh pee kar aaj un ki aankh se Phir yeh aalam hoga ke khud ka pata milta nahin
Akhtar-e-khasta abas dar dar phira karta hai tu Juz dar-e-Ahmad ﷺ kahin se mudda'a milta nahin





