We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Falak Se Uncha MuqamNot Verified

Muzaffar Warsi

Falak se ooncha maqam mera ho Ya Muhammad ﷺ Tumhare qadmon tale basera ho Ya Muhammad ﷺ



Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play


Tumhari parchhaiyon se main bhi lipat ke dekhun Tuloo mujh se bhi ik sawera ho Ya Muhammad ﷺ


Tumhari aawaz jazb kar lun samaton mein Tumhari khushbu mera pherera ho Ya Muhammad ﷺ


Zamana hosh se ye aankhein bhi muntazir hain Kabhi tumhara idhar bhi phera ho Ya Muhammad ﷺ


Na ho mere namah-e-amal par koi siyahi Na mere andar kabhi andhera ho Ya Muhammad ﷺ


Woh tod daale na kyun hisar-e-wujood apna Tumhari banhon ne jis ko ghera ho Ya Muhammad ﷺ


Khuda kare hashr tak Muzaffar ki qabr mein bhi Tumhare reham-o-karam ka dera ho Ya Muhammad ﷺ

Never Be Without Your Favorite Lyrics - Get the App for Offline Access!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah