Ahl-e-sirat ruh-e-amin ko khabar karen Jati hai ummat-e-Nabvi farsh par karen
In fitna-haye-hashar se kehdo hazar karen Nazon ke pale aate hain rah se guzar karen
Bad hain to aap ke hain bhale hain to aap ke Tukron se to yahan ke pale rukh kidhar karen
Sarkar hum kaminon ke atwar par na jayen Aaqa huzur apne karam par nazar karen
Un ki haram ke khaar kashida hain kis liye Aankhon mein aayen sar pe rahen dil mein ghar karen
Jalon pe jaal par gaye lillah waqt hai Mushkil kushai aap ke nakhun agar karen
Manzil kari hai shan-e-tabassum karam kare Taron ki chhaon nur ke tarke safar karen
Kilk-e-Raza ؔ hai khanjar-e-khunkhar barq-bar Aada se kehdo khair manayen na shar karen





