We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Diyar e Shab Ke LiyeNot Verified

Muzaffar Warsi

Diyar-e-shab ke liye qaryah-e-sahar ke liye Nishan-e-pa tere har ek rah guzar ke liye


Durood parh ke pahunch jaaun tere rauze par Sawariyon ki zaroorat nahin safar ke liye


Talash-e-husn mein kiyonkar idhar udhar bhatkun Tera khayal bahut hai meri nazar ke liye



Never Be Without Your Favorite Lyrics - Get the App for Offline Access!

Get it on Google Play


Mohabbat apni jab is dil ko bakhash di tu ne To zehen kiyon ho pareshan maal-o-zar ke liye


Ho naaz teri ghulami pe jis qadar, kam hai Ke is se barh ke nahin koi taaj sar ke liye


Agar Khuda ko bhi main tera wasta de dun Kabhi bhatak nahin sakti dua asar ke liye


Bandhi hain jin ki girah mein huzooriyan teri Woh din sambhal ke rakhe hain umar bhar ke liye


Isi bahane Muzaffar ko tu naseeb hua Ke aahatein teri darkar thin gujar ke liye

Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah