Dil us hi ko kehte hain jo ho tera shaidai Aur aankh woh hi hai jo ho teri tamashai
Kyun jaan na ho qurbaan sadqa na ho kyun imaan Imaan mila tum se aur tum se hi jaan pai
Khilqat ke woh dulha hain mehfil yeh unhi ki hai Hai un hi ke dam se yeh sab anjuman arai
Ya Shah-e-Rusul chashme bar haal-e-gada-e-khud Kaz haal-e-tabah we danai o binai
Be-misl Khuda ka to be-misl payambar hai Zahir teri hasti se Allah ki yaktai
Aqaon ke aqa se bandon ko ho kya nisbat Ahmaq hai jo kehta hai aqa ko bara bhai
Seena mein jo aa jao ban aaye mere dil ki Seena to Madinah ho dil us ka ho shaidai
Dil to ho Khuda ka ghar seena ho tera maskan Phir Kaaba o Taibah ki pehlu mein ho yak-jai
Is tarah sama mujh mein ho jaaun main gum tujh mein Phir tu hi tamasha ho aur tu hi tamashai
Is Salik-e-bekas ki tum aabroo rakh lena Mehshar mein na ho jaye aqa kahin ruswai





