Dil teera liye jab su-e-Muhammad ﷺ nikla Roshni baantne baazu-e-Muhammad ﷺ nikla
Jab bhi duniya ki hawayein mujhe lene aayin Oarh kar chadar-e-khushbu-e-Muhammad ﷺ nikla
Mil gayi raah miri pyaas ko mere gham se Dil mein dooba to sar-e-ju-e-Muhammad ﷺ nikla
Door se jo dar-e-Kaaba nazar aaya mujh ko Paas jaakar kham-e-abru-e-Muhammad ﷺ nikla
Lala-o-gul hi na thay aap ke qadmon ke nishan Chand bhi halqa-e-gesu-e-Muhammad ﷺ nikla
Ishq ki rahl pe Quran jo khola main ne Har waraq aaina-e-ru-e-Muhammad nikla
Nafs-e-ammara pe be-khauf charhai kar di Mera ehsas bhi gabru-e-Muhammad ﷺ nikla
Hum Muzaffar ko samajhte thay bohat hi kamtar Woh sitam-gar to sag-e-koo-e-Muhammad ﷺ nikla





