Dil ko un se Khuda juda na kare Be-kasi loot le Khuda na kare
Is mein rawzah ka sajdah ho ke tawaaf Hosh mein jo na ho woh kya na kare
Yeh wohi hain ke bakhsh dete hain Kaun in jurmon par saza na kare
Sab tabibon ne de diya hai jawab Aah Isa agar dawa na kare
Dil kahan le chala haram se mujhe Are tera bura Khuda na kare
Uzr-e-umeed-e-afw gar na sunen Roo-siyah aur kya bahana kare
Dil mein roshan hai sham-e-ishq-e-huzoor Kash josh-e-hawas hawa na kare
Hashr mein hum bhi sair dekhen ge Munkir aaj un se iltija na kare
Zu’f maana magar yeh zalim dil Un ke raste mein to thaka na kare
Jab teri khoo hai sab ka jee rakhna Wohi achha jo dil bura na kare
Dil se ik zauq-e-mai ka talib hoon Kaun kehta hai ittiqa na kare
Le Raza sab chale Madine ko Main na jaaun are Khuda na kare





