Dil ko sukoon chaman mein na hai lala-zaar mein Soz-o-gudaaz hai faqat un ke diyaar mein
Ya Mustafa bulaiye apne diyaar mein Sarkar! aaun Taibah ke phir lala-zaar mein
Har saal ya Ilahi mujhe Hajj naseeb ho Jab tak jiyun main aalam-e-na-paidaar mein
Har saal haziri ho Madine ki khair se Har saal kaash! aaun main tere diyaar mein
Soz-e-Bilal do mujhe soz-e-Bilal do De sakte ho tumhare toh hai ikhtiyar mein
Ya Rabb! gham-e-Habib mein rona naseeb ho Aansoo na raaigaan hon gham-e-rozgar mein
Afsos ghat-ti ja rahi hai roz zindagi Par main daba hi jaata hoon isyaan ke baar mein
Tujh ko Hasan Husain ka deta hoon wasita Allah! maut de mujhe un ke diyaar mein
Kuch roz pehle toh main, Madine mein tha ab aah! Aakar watan mein phans gaya phir karobar mein
Hijr-e-Madinah mein jo tarapte hain Ya Nabi Un ko bulaiye Shaha! apne diyaar mein
Kar maghfirat meri teri rahmat ke saamne Mere gunah ya Khuda hain kis shumaar mein
Fazl-e-Khuda se maalik-e-kon-o-makaan hain aap Dono jahan aap ke hain ikhtiyar mein
Fashion ko choro bhaiyo! apnao sunnatein Kab tak jiyo ge aalam-e-na-paidaar mein
Woh deen-e-haq ke waste Taif mein zakhm khayein Afsos hum phanse rahein bas karobar mein
Badkaar-o-naabakaar ka imaan Ya Nabi Mehfooz rakhna aap ke hai ikhtiyar mein
Karte raho yeh haq se dua mere bhaiyo! Attar ko de maut Nabi ke diyaar mein
Saara andhera door samaan ho ga noor noor Attar jab woh aayein ge tere mazaar mein





