Dil haaye gunaahon se bezaar nahi hota Maghloob shaha! nafs-e-badkaar nahi hota
Shaitan musallat hai afsos! kisi surat Ab sabr gunaahon par sarkaar nahi hota
Aye Rab ke Habib aao! Aye mere tabib aao Achha yeh gunaahon ka bimaar nahi hota
Go laakh karoon koshish islaah nahi hoti Paakeeza gunaahon se kirdar nahi hota
Yeh saans ki maala ab bas tootne wali hai Dil aah! magar ab bhi bedaar nahi hota
Sunnat ki taraf logo tum kyun nahi aajate Kyun sard gunaahon ka bazaar nahi hota
Sarkaar ka aashiq bhi kya daarhi mundata hai! Kyun ishq ka chehre se izhaar nahi hota
Aaqa ki itaat se jee apna churate hain Jo, aison se khush Rab-e-Ghaffar nahi hota
Jeene ka maza us ko milta hi nahi jis ka Dil ishq-e-Muhammad se sarshaar nahi hota
Jo yaad-e-Madinah mein din raat tarapte hain Door un se Madine ka darbaar nahi hota
Maghmoom hai gham jis ko Aaqa ka nahi milta Bimaar hai jo un ka bimaar nahi hota
Khushiyon mein masarrat mein aasaish-o-raahat mein Asraar-e-mohabbat ka izhaar nahi hota
Woh ishq-e-haqeeqi ki lazzat nahi paasakta Jo ranj-o-museebat se do chaar nahi hota
Aye zaair-e-Taibah! tu dam tor de chaukhat par Deedar, Madine ka har baar nahi hota
Kaun aisi kare jurrat keh sakta nahi Aaqil Sarkaar ka deewana hoshiyaar nahi hota
Aajaye Madine mein le jaaye zarasii khaak Jo theek kisi surat bimaar nahi hota
Aye saailo! aajao aur jholiyan phailao Darbaar-e-Risalat se inkaar nahi hota
Woh bahr-e-sakhawat hain woh qasim-e-ni'mat hain Taibah ka gada hargiz naadaar nahi hota
Dunya mein bhi thanda hai uqba mein bhi thanda hai Jo un ka hai deewana woh khwaar nahi hota
Dunya mein bhi jalta hai uqba mein bhi jalta hai Main kaise kahoon munkir fin-naar nahi hota
Choro aye farishto woh, aate hain shafa'at ko Woh jis ke bhi haami hain fin-naar nahi hota
Afsos nadaamat bhi isyaan pe nahi hoti Neki ki taraf maail Attar nahi hota
Aaqa ka gada ho kar Attar tu ghabraye Ghabraye wuhi jis ka ghamkhwaar nahi hota





