Dil hai chobdaar, saans eelchi Rasool ﷺ ki Taj-o-takht se azeem naukri Rasool ﷺ ki
Ibtida-o-intiha kare tawaf Aap ﷺ ka Jaane wali aane wali har sadi Rasool ﷺ ki
Un ke dar pe ja ke khatam hon tamam raaste Jis taraf ka rukh karun pade gali Rasool ﷺ ki
Chaudah sau baras ka faasla hai garche darmiyaan Phir bhi mere saamne hai zindagi Rasool ﷺ ki
Dono mutthiyon se kaayinaat lag rahi hai kam Yun meri giraft mein hai paaynti Rasool ﷺ ki
Haath par hai haath, aankh paanv ke nishan par Raasta dikha rahi hai raasti Rasool ﷺ ki
Waqt ki bayaaz mein utaarne ki der hai Rooh par to likh chuka hoon masnavi Rasool ﷺ ki
Marte marte ji utha Muzaffar un ke naam par Pat jharon mein ki wasool taazgi Rasool ﷺ ki





