Dil chehra-e-Rasool-e-Khuda dekhta raha Suraj tuloo hota hua dekhta raha
Mohtaj aaine ki nahi thi meri nazar Ehsaas jo dikhata raha, dekhta raha
Hadd-e-nazar pe padte rahe Aap ﷺ ke qadam Pichli safon mein waqt khada dekhta raha
Rahmat mujhe maaf bhi kar ke chali gayi Main sharm-saar dagh-e-qaba dekhta raha
Milti rahi khabar mujhe boo-e-Rasool ﷺ ki Halaanke band musht-e-hawa dekhta raha
Pohncha tha bargah mein khairaat maangne Aur sirf Mustafa ﷺ ko gada dekhta raha
Seene ki baat lab pe Muzaffar na aa saki Beenaai poochti rahi kya dekhta raha





