Durood bhi parhoon namaz ki tarah Khule meri zaban raaz ki tarah
Mohabbat-e-Rasool ﷺ rizq-e-rooh hai Zarooratein bhi hain jawaz ki tarah
Wasool ki hain Mustafa ﷺ ke naam par Tamaam sakhtiyan gudaz ki tarah
Nigah-e-Rahmatul-lil-Aalameen bhi Hai hukm-e-Rabb-e-karsaz ki tarah
Ghalami-e-Rasool ﷺ-e-namdar par Main naaz bhi karoon niaz ki tarah
Imam-ul-Anbiya ki bargah mein Khare hain Ghaznavi Ayaz ki tarah
Ragon ke khoon se zyada qeemti Watan ki khaak bhi Hijaz ki tarah
Muzaffar unki raah mein qadam qadam Bikhar gaya hoon irtikaz ki tarah





