Dar-e-Nabi se palat raha hoon Zameen hai mere sar pe jaise Theher gayi rooh dar pe jaise Badan ke humrah chal para hoon Dar-e-Nabi se palat raha hoon
Sukoon cheena, sawab cheena Nazara-e-lajawab cheena Faraiz-e-dunyavi ne mujh se Dar-e-Risalat Ma'ab cheena Rawaan rawaan Aap ko pukare Katein rag-e-jaan se mod saare Haram ko mud mud ke dekhta hoon Dar-e-Nabi se palat raha hoon
Main yun dayar-e-Nabi se nikla Ke jaise shola kali se nikla Liye huye rehmaton ke saaye Main halqa-e-roshni se nikla Agarcha aaya hoon samandar Magar badi tishnagi hai andar Main khush hoon lekin bujha bujha hoon Dar-e-Nabi ﷺ se palat raha hoon
Dobara jaane ki aarzu hai Ke khud ko paane ki aarzu hai Jo Hajj pe ehram baandhte hain Pehen ke aane ki aarzu hai Jo boo-e-Aaqa ki de gawahi Usi kafan mein maroon Ilahi Tadap hoon, fariyaad hoon, dua hoon Nabi Nabi phir pukarta hoon
Mujhe mere zehan ne duboya Bohat hi kam-ma'iagi pe roya Ta'assur apna bayan karke Sukhanvari ka bharam bhi khoya Na laaj rakhi qalam ki main ne Kiya tha mehsoos jo bhi main ne Kahan Muzaffar woh likh saka hoon Nabi Nabi phir pukarta hoon





