Dar-e-jaanan pe fidaai ko ajal aayi ho Zindagi aake janaze pe tamashayi ho Teri surat jo tasawwur mein utar aayi ho Phir to khalwat mein ajab anjuman-aarayi ho
Neik saat se ajal aish-e-abad layi ho Dar-e-jaanan pe koi mehv-e-jabeen-sayi ho
Sang-e-dar par tere yun nasiya-farsayi ho Khud ko bhoola hua jaanan tera shidayi ho
Khud-ba-khud khuld wahan khinch ke chali aayi ho Dasht-e-Taiba mein jahan badiya-paymayi ho
Mausam-e-may ho woh gesu ki ghata chhayi ho Chashm-e-saqi se piyein jalsa-e-sahbayi ho
Chandni raat mein phir may ka woh ik daur chale Bazm-e-aflaak ko bhi hasrat-e-may aayi ho
Un ke deewane khuli baat kahan karte hain Baat samjhe wahi jo sahib-e-danayi ho
Mehar-e-khawar pe jamaye nahin jamti nazrein Woh agar jalwa karein kaun tamashayi ho
Dasht-e-Taiba mein chaloon chal ke garoon gir ke chaloon Na-tawani meri sad rashk-e-tawanayi ho
Gul ho jab Akhtar khasta ka chiragh-e-hasti Uss ki aankhon mein tera jalwa-e-zebayi ho





