Dar-e-Ahmad pe ab meri jabeen hai Mujhe kuch fikr-e-do aalam nahin hai
Mujhe kal apni bakhshish ka yaqeen hai Ke ulfat un ki dil mein jaageen hai
Main hoon aur yaad-e-Sarkar-e-Madinah Yeh duniya dil ki kis darja haseen hai
Bahaarein yun toh jannat mein hain laakhon Bahaar-e-dasht-e-Taibah par kaheen hai
Main wasf-e-maah-e-Taibah kar raha hoon Bala se gar koi cheen ba-jabeen hai
Abas jaata hai tu ghairon ki jaanib Ke baab-e-rehmat-e-Rehman yaheen hai
Gunahgaro! na ghabrao ke apni Shafa’at ko Shafee-ul-Mudhnebeen hai
Fareb-e-nafs mein hamdam na aana Bache rehna yeh maar-e-aasteen hai
Zara aahista chal o chalne waale Ke is ja Akhtar-e-khasta dafeen hai
Dil-e-betaab se Akhtar yeh keh do Sambhal jaaye Madinah ab qareen hai





