Chiragh-e-imaan ki lau ko talwar kar raha hoon Mohabbat-e-Mustafa ﷺ ki yalghar kar raha hoon
Meri wiladat bhi sehn-e-Abu Bakr mein hui thi Main un ko saare wajood se pyaar kar raha hoon
Yeh hujra bhi kaash mere Aaqa pasand kar lein Nazar ko dehleez dil ko deewar kar raha hoon
Liye khari hain hawaien ehram khushbuon ke Huzoor ﷺ ki khaak-e-pa ko dastaar kar raha hoon
Faraaz-e-Kausar pe ja ke nikloon ga dekh lena Main un ke darya ko doob kar paar kar raha hoon
Har ek andhere se dil ko khaali kara liya hai Ab apni parchhaiyan bhi mismaar kar raha hoon
Ibadatein bhi unhi ke sadqe qabool hoon gi Isi liye yaad unhein lagataar kar raha hoon
Yeh zakhm-e-hijr-e-Rasool ﷺ bhi rooh ki ghiza hain Yeh zakhm kha kar hi roza iftaar kar raha hoon
Mere Khuda mere deedah-o-dil wasee kar de Main apne hisse ki madh-e-sarkar kar raha hoon
Azaan se kam nahi meri naat bhi Muzaffar Bilal-o-Hassan ka main kirdar kar raha hoon





