Chamak tujh se paate hain sab paane waale Mera dil bhi chamka de chamkaane waale
Barasta nahin dekh kar abr-e-rehmat Badon par bhi barsa de barsaane waale
Madinah ke khitte Khuda tujh ko rakhe Ghareebon, fakeeron ke thehraane waale
Tu zinda hai wallah tu zinda hai wallah Mere chashm-e-aalam se chhip jaane waale
Main mujrim hoon Aaqa mujhe saath le lo Ke raste mein hain ja-ba-ja thaane waale
Haram ki zameen aur qadam rakh ke chalna Are sar ka mauqa hai o jaane waale
Chal uth jabha-farsa ho Saqi ke dar par Dar-e-jood ae mere mastaane waale
Tera khaayein tere ghulaamon se waale Hain munkir ajab khaane ghur aane waale
Rahega yun hi un ka charcha rahega Pade khaak ho jaayein jal jaane waale
Ab aayi shafa'at ki sa'at ab aayi Zara chain le mere ghabraane waale
Raza nafs dushman hai dam mein na aana Kahaan tum ne dekhe hain chandaraane waale





