Buzurgi, mohabbat, adab paane wala Woh har khubsurat laqab paane wala
Khuda ka woh mehboob banda Khuda se Khuda ki nazar, haath, lab paane wala
Woh maujood tha sulb-e-Aadam se pehle Nasab se bhi pehle nasab paane wala
Azal ki jabeen par woh matloob-e-Khaliq Hira mein talab hi talab paane wala
Dua-e-Ibrahim, beemar us ki Maseehai ka woh matab paane wala
Woh arz-o-sama mein mohabbat ka mojib Woh Rab aur makhlooq-e-Rab paane wala
Tawaaf us ka karte hain saare zamaane Watad paane wala, sabab paane wala
Bhali se bhali de gaya zindagani Bure se bure roz-o-shab paane wala
Bana Sidrat-ul-Muntaha ka musafir Woh aab-o-hawa-e-Arab paane wala
Sahaba ki saff mein khara hai yaqeenan Use apne seene mein ab paane wala
Na tha jab Khuda ke siwa kuch Muzaffar Akele Khuda ko woh tab paane wala





