Buraq-e-fikr hai gardoon navard aaj ki raat Hawa urati hai taaron ki gard aaj ki raat
Yeh kaun zehan ke roshan makaan mein utra Khayal surat-e-Jibreel dhiyaan mein utra
Hai khum, rasai-e-insaan pe faaslon ki jabeen Bulandiyon pe kamandein uchalti hai zameen
Yeh raat kyun na ho afzal tamaam raaton mein Liye huye hain andhere charagh hathon mein
Woh raat, jis ka zamana jawab la na sake Milaye aankh toh suraj bhi taab la na sake
Woh raat jis ne haseen khwab jaag kar dekha Woh raat jis ne Muhammad ﷺ ko arsh par dekha
Gaya tha ishq, khalaon ki raah se aage Nigah jaati hai hadd-e-nigah se aage
Ruki ruki nazar aati thi nabz-e-aalam ki Guzar rahi thi sawari Rasool-e-Akram ﷺ ki
Rawaan thay saath farishtay aba uthaye huye Fazayein, kutba-e-Salli Ala uthaye huye
Urooj-e-adamiyat aap par tamaam hua Khuda khud apne hi jalwon se humkalam hua
Tajalliyat ke haalay mein yun ghiray dono Kamaan-e-wasl khinchi, mil gaye siray dono
Buland aise na rutbay kisi Nabi ke huye Zahay naseeb ke hum ummati usi ke huye





