Bikhra hua para hoon dil se dar-e-Nabi ﷺ tak Jaana hai sirf mujh ko hairat se aagahi tak
Auj-o-kamal sara husn-o-jamal sara Aaina-e-Khuda se aks-e-Muhammadi ﷺ tak
Gar un se wasta hai ek pal ka raasta hai Bahar ki teergi se andar ki roshni tak
Duniya thi gadli gadli aa kar unhon ne badli Woh sirf darmiyan hain banday se bandagi tak
Tehzeeb ke hain Mohsin roshan hai un se batin Chaap unki saya un ka Aadam se aadmi tak
Ehsaan-e-Mustafa ﷺ hai faizan-e-Mustafa ﷺ hai Jalte huay diye se khulti hui kali tak
Dhoay hain paap mere maalik hain aap ﷺ mere Duniya ki zindagi se uqba ki zindagi tak
Ek aur hi safar par niklay hain hum Muzaffar Duniya aboor kar ke pohanchay jo us gali tak





