Baqaul Michael H. Hart, pehle number ki Jo shakhsiyat hai to woh hai Muhammad ﷺ Arabi
Napoleon ne bhi sardar-e-kainat kaha Zuban-e-aagahi mein raunaq-e-hayat kaha
Swami Braj Narayan ne khoob baat kahi Ke ek jang bhi Ahmad ﷺ ne jarihana na ki
Yeh baat aayi thi Rabindranath ke lab par Ke ghalib aayega Islam Hindu mazhab par
Hai qeemti Guru Nanak ka yeh haseen farmaan Koi kitab na kaam aayegi bajuz Quran
Har ek adeeb har ek rah-numa ne khoob kaha Magar zyada to Bernard Shaw ne khoob kaha
Agar paighambar-e-Islam hukmran ho jaye To duniya aaj bhi gehwara-e-aman ho jaye





