Bane raste ki mitti, jaan hamari, Ya Rasool Allah ﷺ Jidhar se Aap ki guzre sawari, Ya Rasool Allah ﷺ
Meri binaiyon mein Aap ki parchhaiyan rehti hain Meri aankhein hain sikkay yaadgari Ya Rasool Allah ﷺ
Khuda ko main bhi ja kar Aap ki naatein sunaunga Meri bakhshish ka parwana ho jaari Ya Rasool Allah ﷺ
Tumhare raston par chal ke dekha hai toh jaana hai Pyada pai bhi hai shahsawari Ya Rasool Allah ﷺ
Mayassar jis ko tum aao usay kya kuch nahin milta Tumhi ho deen-dari duniya-dari Ya Rasool Allah ﷺ
Talab karti hain mujh se har qadam par dhadkanein meri Tumhari aahton ka hoon bhikhari Ya Rasool Allah ﷺ
Duroodon par faqat ab toh Muzaffar ka guzara hai Duayein ho gayi hain khatam saari Ya Rasool Allah ﷺ





