Bakhuda Khuda se hai woh juda jo Habib-e-Haq pe fida nahin Woh bashar hai deen se be-khabar jo rah-e-Nabi mein guma nahin
Usay dhoondhay kyun koi dar-ba-dar woh hain jaan se bhi qareeb-tar Woh nihan bhi hai woh ayan bhi hai woh chunein bhi hai woh chunaan bhi hai Wahi jab bhi tha wahi ab bhi hai woh chhupa hai phir bhi chhupa nahin
Teri zaat mein jo fana hua woh fana se nau ka adad bana Jo usay mitaye woh khud mitay, woh hai baqi us ko fana nahin
Do jahan mein sab pe hain woh ayan do jahan phir un se hon kyun nihan Woh kisi se jab ke nahin chhupe to koi bhi un se chhupa nahin
Har ek un se hai woh har ek mein hain woh hain ek ilm-e-hisab ke Banay do jahan ki wahi bina woh nahin jo un se bana nahin
Koi misl un ka ho kis tarah woh hain sab ke mabda-o-muntaha Nahin doosray ki jagah yahan ke yeh wasf do ko mila nahin
Tere dar ko chhor kidhar phiroon tera ho ke kis ka main munh takoon Tu ghani hai sab tere dar ke sag woh nahin jo tera gada nahin
Karo lutf mujh pe yeh Khusrawa ke chura do ghair ka aasra Na takoon kisi ko tere siwa ke kisi se mera bhala nahin
Koi tujh se bach ke kahan rahay tera mulk chhor kahan basay Tu Habib-e-Rab teri mulk sab jahan tu na ho koi ja nahin
Yeh tumhara Salik-e-be-nawa marz-e-gunah mein hai mubtala Tum hi is buray ko karo bhala ke koi tumharay siwa nahin





