Azizon ki taraf se jab mira dil toot jata hai Tira lutf-o-karam barh kar miri dharas bandhata hai
Nabi ke noor ka sadqa Khudaya jagmaga dena Karam! Ya Rab! andhera qabr ka mujh ko darata hai
Musalsal maut nazdeek arahi hai, haye! barbadi Karam! Maula! gunahon ka maraz barhta hi jata hai
Ilahi! wasta pyare ka, meri maghfirat farma Azab-e-nar se mujh ko Khudaya khauf ata hai
Tiri sunnat pe chalta hoon, toh taane log dete hain Shahanshah-e-Madinah! nafs bhi be-had satata hai
Mubarak baad dete ho mujhe, tum bhaiyo hajj ki Madinah chorne ka gham mujhe toh khaye jata hai
Masaib mein kabhi harf-e-shikayat lab pe mat lana Woh kar ke mubtala bandon ko apne azmata hai
Nayi umeed milti hai, dil-e-mayoos ko phir se Mujhe Shah-e-Madinah! jab Madinah yaad ata hai
Mujhe lagta hai woh meetha, mujhe lagta hai woh pyara Imama sar pe, zulfen aur darhi jo sajata hai
Khuda thandi kare ga us ki aankhen hashr mein Attar Yahan jo soz-e-ulfat mein jigar apna jalata hai





