Ae zameen-e-Arab, aasman-e-adab, tujh pe bunyad-e-tehzeeb rakhi gayi Tere dil par raqam, hain woh naqsh-e-qadam, jin se kaunain mein roshni ki gayi
Main bhi teri fizaon ko orhay phira, mere andar bhi hai ek Ghar-e-Hira Jab Muhammad ﷺ ki dehleez par ja gira, mere aage se duniya hatali gayi
Kya haseen thi woh murti hui rehguzar, teergi mein kiya roshni ka safar Mujh gunahgar par, jab uthi woh nazar, mere seene mein paiwast hoti gayi
Ret ki paylein baandh kar paon mein, raqs karta phira tere sehraon mein Shehar mein gaon mein dhoop mein chaon mein, umr ki saari naqdi luta di gayi
Pehle un ki mohabbat ka saya mila, phir mujhe un ki rehmat ka chashma mila Un ki raahon se phir is qadar ja mila, un ko dekha, nazar jis taraf bhi gayi
Main jo ishq-e-Nabi mein fana ho gaya, mera har saans harf-e-sana ho gaya Be-talab ho gaya be-ana ho gaya, aajizi aa gayi be-qarari gayi
Jab Muhammad ﷺ ka mujh ko pata lag gaya, mujh mein subhon ka anboh sa lag gaya Jitna jee bhar ke dekha Muzaffar unhein, pyaas aankhon ki utni bharakti gayi





