Aaye thay saari subhon ke salaar khwab mein Rehta hoon uske baad se bedaar, khwab mein
Haazir hua tha zeher-e-gunah mein bujha hua Tiryaaq de gaye mere sarkar khwab mein
Sote mein bhi durood hai meri zabaan par Tasveer bhi hai aaina bardaar khwab mein
Us ek raat ka bada ehsaan-mand hoon Darwaaze lekar aa gayi deewar khwab mein
Aankhon ki bheed lag gayi saare wujood par Dekha jo unko main ne lagaataar, khwab mein
Bedaariyon ke habs se peecha chura liya Ghar le liya hai ek hawa-daar khwab mein
Aati hain unki rehmaten mujhko khareedne Lagne laga hai ishq ka bazaar khwab mein
Kitna karam hai tujh pe Muzaffar, Huzoor ﷺ ka Tameer ho gaya tera kirdaar khwab mein





