Ae kaash! Shab-e-tanhai mein, furqat ka alam tarpata rahe Lamha lamha ulfat ki aag ko aur bhi tu bharkata rahe
Be-tab jigar, qalb-e-muztar, de dijiye Sarwar! chashm-e-tar Har waqt bharoon thandi aahein, gham tera khoon rulata rahe
Be-chain rahoon be-tab rahoon, main hichkiyan baandh ke rota rahoon Yeh zauq-e-junoon barhta hi rahe, har dam yeh mujh ko rulata rahe
Main ishq mein yun gum ho jaaun, har giz na pata apna paaun Jab jab main tarap kar gir jaaun, tera dast-e-inayat uthata rahe
Jab aaun Madine rota hua, ho saamne jab rauzah tera Chehre se naqab uth jaaye aur tu jaam-e-deed pilata rahe
Be-kas hoon Shaha! main dukhiyara, logon ne mujhe hai dhutkara Tu hamdam hai phir kya gham hai, go sara jahan thukrata rahe
Sad shukr khudaya tu ne diya, hai rahmat wala woh Aaqa Jo ummat ke ranj-o-gham mein, raaton ko ashk bahata rahe
Jab garmi-e-hashr ho zoron par, us waqt tamanna hai Sarwar! Hum pyaas ke maaron ko Kausar, ke jaam pe jaam pilata rahe
Hai meri tamanna Rabb-e-Jahan, har khurd-o-kalan har ek jawan Har ’’Dawat-e-Islami‘‘ wala, sunnat ka alam lehrata rahe
Hai tujh se dua Rabb-e-Akbar! maqbool ho ’’Faizan-e-Sunnat‘‘ Masjid masjid ghar ghar parh kar, Islami bhai sunata rahe
Jab mera yawar hai Sarwar, phir dar-e-hashr ka ho kyonkar! Woh hashr mein ruswa kaise kare jo aib yahan pe chupata rahe
Jab tan se juda ho jaan-e-muztar us waqt ho jalwa pesh-e-nazar Ho qabr mein bhi saya-gustar, tu meethi neend sulata rahe
Ya Rabb! yeh dua Attarؔ ki hai jis waqt talak dunya mein jiye Mehboob ki sunnat aam kare, yeh danka deen ka bajata rahe





